rafta rafta dil-e-be-tāb Thahar jā.egā
rafta rafta tirī nazroñ kā asar jā.egā
daad be-dād kī is meñ koī taḳhsīs nahīñ
naqsh-e-hastī meñ koī rañg to bhar jā.egā
aap agar mā.il-e-tajdīd-e-sitam ho jaa.eñ
rañg-e-ta.alīm-e-vafā aur nikhar jā.egā
arz-e-tishna pe baras abr-e-ravāñ khul ke baras
baat rah jā.egī ye vaqt guzar jā.egā
dhuup aur chhāñv musallam magar apnī had meñ
vaqt pāband nahīñ hai ki Thahar jā.egā
raushnī meñ hai charāġhoñ ke tale tārīkī
ham samajhte the ki māhaul sañvar jā.egā
ishq to apnī jagah kaif-e-musalsal hai 'urūj'
nashsha-e-bāda nahīñ hai jo utar jā.egā