ḳhamosh āñkhoñ se kartā rahā savāl mujhe
vo aa ke kah na sakā apne dil kā haal mujhe
kabhī to ḳhud ko bhī pahchānñe kī koshish kar
hisār-e-zāt se aa kar kabhī nikāl mujhe
ye be-yaqīnī kā gahrā sukūt to TuuTe
fareb de koī ḳhush-fahmiyoñ meñ Daal mujhe
vo naam likkhūñ to lafzoñ se ḳhushbūeñ uTTheñ
vo de gayā jo mahakte hue ḳhayāl mujhe
ga.e zamāne liye phir vo aa gayā 'haidar'
bikhar na jā.ūñ kahīñ phir zarā sambhāl mujhe