band haiñ dil ke darīche raushnī mādūm hai
ab jo apnā hashr honā hai hameñ ma.alūm hai
hasb-e-nairañg-e-jahāñ dil shaad yā maġhmūm hai
aadmī jazbāt kā hākim nahīñ mahkūm hai
ab takalluf bartaraf ye aap ko ma.alūm hai
kyuuñ mirā ḳhvāb-e-vafā ta.abīr se mahrūm hai
husn ḳhud taḌpā kiyā hai mujh ko taḌpāne ke ba.ad
sochnā paḌtā hai vo zālim hai yā mazlūm hai
ḳhvāb āḳhir ḳhvāb hai is ḳhvāb kā kyā e'tibār
jannat-e-nazzāra goyā jannat-e-mauhūm hai
haa.e ye tarfa ma.āl-e-ārzū-e-sub.h-e-nau
jis taraf nazreñ uThātā huuñ fazā masmūm hai
mere kirdār-e-vafā kī ā.īna-dārī ba-ḳhair
kyuuñ zabān-e-dost par al-shāz-o-kal-mādūm hai
dekhne kī chiiz hai ye sehr-e-andāz-e-nazar
un kā har mub.ham ishāra hāmil-e-mafhūm hai
ḳhaar bhī nā-mutma.in haiñ phuul bhī nā-mutma.in
bāġhbāñ ke is nizām-e-gulistāñ kī dhuum hai
ab use māhaul jis qālib meñ chāhe Dhaal de
fitratan to aadmī ik paikar-e-mafhūm hai
jo bharī mahfil meñ nazroñ kī huī hai guftugū
husn ko ma.alūm hai yā ishq ko ma.alūm hai
kitnī kaif-āvar hai in kī shirkat-e-ġham bhī 'urūj'
mātam-e-dil kī jagah jashn-e-dil-e-marhūm hai