ashk par gudāz-dil hāshiya chaḌhātā hai
ik zarā se qisse ko dāstāñ banātā hai
haañ vo kāfir-e-nemat kor-zauq hai yaaro
jo ġham-e-mohabbat ko hādisa batātā hai
jīte-jī kā rishta hai rūh-o-jism kā rishta
dhuup ke ta.āqub meñ saaya maat khātā hai
jab zabān-bandī ho nazreñ kaam kartī haiñ
ik payām aatā hai ik payām jaatā hai
pattharoñ ke siine meñ aa.ine bhī hiire bhī
zulmatoñ kā ḳhāliq hī mehr-o-mah ugātā hai
kyuuñ javār-e-manzil meñ sust-e-gām haiñ raahī
qurb kā yaqīñ shāyad fāsla baḌhātā hai
ai 'urūj' ye duniyā qadr-e-dard kyā jaane
kyuuñ zamāna-sāzoñ ko hāl-e-dil sunātā hai