kise batā.ūñ ki ġham kyā hai sarḳhushī kyā hai
abhī zamāne kā me.ār-e-āgahī kyā hai
qadam qadam pe maiñ sambhlā huuñ Thokareñ khā kar
ye Thokaroñ ne batāyā ġhalat-ravī kyā hai
zamīñ pe lāla-o-gul āsmāñ pe maah o nujūm
nigāh-e-hsun-e-nigāh ke liye kamī kyā hai
kamand Daal rahā hai jo chāñd tāroñ par
ḳhudā hī jaane ki taqdīr-e-ādmī kyā hai
nafs kī āmad-o-shud par bhī iḳhtiyār nahīñ
ye zindagī hai to maqsūd-e-zindagī kyā hai
vafā-parastoñ se kyuuñ zid hai us pe sab chup haiñ
savāl ye hai ki is kā javāb hī kyā hai
'urūj' tīrgi-e-shab kā ehtirām karo
isī se tum ne ye jaanā ki tīrgī kyā hai