Urooj Zaidi Badayuni

fikr-e-besh-o-kam nahin unki raza ke samne

Urooj Zaidi Badayuni

Meerut, Uttar pradesh, India

1912-1987
fikr-e-besh-o-kam nahīñ un kī razā ke sāmne
ye mujhe taslīm hai arz-o-samā ke sāmne
jo talab-nā-āshnā ho mā-sivā ke sāmne
haath phailātī hai duniyā us gadā ke sāmne
ye kamāl-e-jazb-e-dil merī nazar se duur thā
aap ḳhud aa jā.eñge parda uThā ke sāmne
sochnā paḌtā hai kyuuñ bebas huuñ kyuuñ majbūr huuñ
maiñ sar-e-āġhāz-o-fikr-o-intihā ke sāmne
vo to kahiye merā dil āmāj-gāh-e-shauq hai
varna kaun aatā hai tere be-ḳhatā ke sāmne
kyā batā.ūñ merī ġharqābī meñ kis kā haath thā
nāḳhudā ko pesh honā hai ḳhudā ke sāmne
TuuT jā.egā tililsm-e-rāstī-o-rahbarī
maiñ agar ā.īna rakh duuñ rahnumā ke sāmne
ai zamīr-e-zinda mere har-qadam par ehtisāb
nāma-e-a.amāl jā.egā ḳhudā ke sāmne
āñdhiyāñ un ko bujhā deñ āñdhiyoñ kī kyā majāl
maiñ ne vo sham.eñ jalā.ī haiñ havā ke sāmne
shiddat-e-ehsās-e-tauba kā vo aalam hai 'urūj'
jaam mere sāmne hai maiñ ḳhudā ke sāmne
Top Urdushayar.com