har qadam par mujhe laġhzish kā gumāñ hotā hai
chashm-e-sāqī kī navāzish kā gumāñ hotā hai
ye hijābāt-e-ta.ayyun mujhe manzūr nahīñ
fikr-e-āzād ko bandish kā gumāñ hotā hai
lutf-e-paiham na sahī jaur-e-musalsal hī sahī
har tavajjoh pe navāzish kā gumāñ hotā hai
un ke aage lab-e-iz.hār pe hai mohar-e-sukūt
ek ḳhāmosh parastish kā gumāñ hotā hai
maiñ qafas meñ huuñ qafas pesh--e-nigāh-e-sayyād
par-e-parvāz meñ jumbish kā gumāñ hotā hai
sirf tum dil kī tabāhī kā sabab kyā hote
baḳht-e-nā-sāz kī sāzish kā gumāñ hotā hai
baat ye kyā hai 'urūj' in kī har ik baat meñ aaj
apnī har tarz-e-guzārish kā gumāñ hotā hai