ishq ke hāthoñ meñ parcham ke sivā kuchh bhī nahīñ
us kā aalam tere aalam ke sivā kuchh bhī nahīñ
be-yaqīnī sū-e-zan īmān-e-nāqis kī dalīl
fikr-e-rāhat ḳhatra-e-ġham ke sivā kuchh bhī nahīñ
ham se pūchho ham batā.eñ ġhāyat-e-kaun-o-makāñ
kārgāh-e-ibn-e-ādam ke sivā kuchh bhī nahīñ
ātish-e-nafrat se ab duniyā hai aise moḌ par
dīda-var go ye jahannam ke sivā kuchh bhī nahīñ
yād-e-ayyāme ki ye bhī jān-e-razm-o-bazm the
jin ke paas ab chashm-e-pur-nam ke sivā kuchh bhī nahīñ
ham nahīñ minjumla ahl-e-razā kyuuñ kar kaheñ
jin ke lab par qissa-e-ġham ke sivā kuchh bhī nahīñ
ahl-e-duniyā ke liye jo abr-e-naisāñ thā 'urūj'
ab vo insāñ ashk-e-shabnam ke sivā kuchh bhī nahīñ