Haidar Qureshi

andar ki duniyaen mila ke ek nagar ho jaen

Haidar Qureshi

1953
andar kī duniyā.eñ milā ke ek nagar ho jaa.eñ
yā phir aao mil kar TūTeñ aur khañDar ho jaa.eñ
ek naam paḌheñ yuuñ donoñ aur duā yuuñ māñgeñ
yā sajde se sar na uTheñ yā lafz asar ho jaa.eñ
ḳhair aur shar kī āmezish aur āvezish se nikhreñ
bhuul aur tauba karte saare saañs basar ho jaa.eñ
ham azalī āvāra jin kā ghar hī nahīñ hai koī
lekin jin rastoñ se guzreñ raste ghar ho jaa.eñ
ek gunah jo faanī kar ke chhoḌ gayā dhartī par
vahī gunah dobāra kar leñ aur amar ho jaa.eñ
suufī sādhū ban kar terī khoj meñ aise nikleñ
ḳhud hī apnā rasta manzil aur safar ho jaa.eñ
rizq kī tañgī ishq kā rog aur log munāfiq saare
aao aise shahr se 'haidar' shahr-badar ho jaa.eñ
Top Urdushayar.com