zanjīr-e-junūñ kuchh aur khanak ham raqs-e-tamannā dekheñge
duniyā kā tamāsha dekh chuke ab apnā tamāsha dekheñge
ik umr huī ye soch ke ham jaate hī nahīñ gulshan kī taraf
tum aur bhī yaad aaoge hameñ jab gul koī khiltā dekheñge
kyā fā.eda aise manzar se kyuuñ ḳhud hī na kar leñ band āñkheñ
itnī hī baḌhegī tishna-labī ham aap ko jitnā dekheñge
tum kyā samjho tum kyā jaano furqat meñ tumhārī dīvāne
kyā jāniye kyā kyā dekh chuke kyā jāniye kyā kyā dekheñge
hone do añdherā aaj kī shab gul kar do charāġhoñ ke chehre
ham aaj ḳhud apnī mahfil meñ dil apnā hī jaltā dekheñge
'naushād' ham un kī mahfil se is vāste uTh kar aa.e haiñ
parvānoñ kā jalnā dekh chuke ab apnā taḌapnā dekheñge