ham dostoñ ke lutf-o-karam dekhte rahe
hote rahe jo dil pe sitam dekhte rahe
ḳhāmosh qahqahoñ meñ bhī ġham dekhte rahe
duniyā na dekh paa.ī jo ham dekhte rahe
allāh-re josh-e-ishq ki uThtī jidhar nazar
tum ko hī bas ḳhudā kī qasam dekhte rahe
nāgāh paḌ ga.ī jo kahīñ un pe ik nazar
tā-der apne aap ko ham dekhte rahe
ham ne to baḌh ke chuum liyā āstān-e-yār
hasrat se ham ko dair o haram dekhte rahe
jo saath mere chal na sake rāh-e-shauq meñ
vo sirf mere naqsh-e-qadam dekhte rahe
barsoñ ke ba.ad un se mile bhī to is tarah
pahroñ vo ham ko aur unheñ ham dekhte rahe
har shaam ek ḳhvāb-e-sahar meñ guzār dī
har sub.h ek shām-e-alam dekhte rahe
chalte hī daur-e-jām jo ahl-e-nigāh the
kis kis kī āstīn thī nam dekhte rahe
sab kuchh vahī thā phir bhī gulistāñ meñ aaj ham
kyā shai thī ho ga.ī hai jo kam dekhte rahe
bastī meñ log aise bhī haiñ kuchh base hue
aayā jidhar se tīr-e-sitam dekhte rahe
aa.e the apne chāhne vāloñ ko dekhne
kitnā hai kis marīz meñ dam dekhte rahe