dīda-e-ashk-bār le ke chale
ham tirī yādgār le ke chale
dil meñ tasvīr-e-yār le ke chale
ham qafas meñ bahār le ke chale
ḳhvāhish-e-dīd le ke aa.e the
hasrat-e-intizār le ke chale
sāmne us ke ek bhī na chalī
dil meñ bāteñ hazār le ke chale
havas-e-gul meñ ham bhī aa.e the
dāman-e-tār-tār le ke chale
jo mire saath Dūbnā chāhe
mujh ko dariyā ke paar le ke chale
tum se apnā hī baar uTh na sakā
ham zamāne kā baar le ke chale
ham na iisā na sarmad o mansūr
log kyuuñ sū-e-dār le ke chale
bhar ke dāman meñ ḳhaak us dar kī
ham to kū-e-nigār le ke chale
zindagī muḳhtasar milī thī hameñ
hasrateñ be-shumār le ke chale
ruup naġhmoñ kā de ke ham 'naushād'
apne dil kī pukār le ke chale