sab kuchh sar-e-bāzār jahāñ chhoḌ gayā hai
ye kaun khulī apnī dukāñ chhoḌ gayā hai
jaate hī kisī ke na vo naġhma na ujālā
ḳhāmosh charāġhoñ kā dhuāñ chhoḌ gayā hai
vahshī to gayā le ke vo zanjīr-o-garebāñ
ik nauha-kunāñ ḳhālī makāñ chhoḌ gayā hai
sau qāfile is raah se aa.e bhī ga.e bhī
ab tak maiñ vahīñ huuñ vo jahāñ chhoḌ gayā hai
bhejā hai ye kis ne varaq-e-sāda mire naam
kyā kyā gile be-lafz-o-bayāñ chhoḌ gayā hai
tā-dūr jahāñ ab se sar-e-rāh charāġhāñ
vo naqsh-e-qadam apne vahāñ chhoḌ gayā hai
uTh kar tirī mahfil se gayā hai jo muġhannī
naġhmāt ke parde meñ fuġhāñ chhoḌ gayā hai
be-samt sā ik aaj ki maazī hai na fardā
ye vaqt kā sailāb kahāñ chhoḌ gayā hai
pahlū meñ kahāñ dil jo sambhāle koī 'naushād'
ik daaġh kī sūrat meñ nishāñ chhoḌ gayā hai