Naushad Ali

aabaadiyon mein dasht ka manzar bhi aaega

Naushad Ali

Lucknow, Uttar pradesh, India

1919-2006
ābādiyoñ meñ dasht kā manzar bhī aa.egā
guzroge shahr se to mirā ghar bhī aa.egā
achchhī nahīñ nazākat-e-ehsās is qadar
shīsha agar banoge to patthar bhī aa.egā
sairāb ho ke shaad na hoñ rah-ravān-e-shauq
raste meñ tishnagī kā samundar bhī aa.egā
dair o haram meñ ḳhaak uḌāte chale chalo
tum jis kī justujū meñ ho vo dar bhī aa.egā
baiThā huuñ kab se kūcha-e-qātil meñ sar-nigūñ
qātil ke haath meñ kabhī ḳhanjar bhī aa.egā
sarshār ho ke jā chuke yārān-e-mai-kada
saaqī hamāre naam kā sāġhar bhī aa.egā
is vāste uThāte haiñ kāñToñ ke naaz ham
ik din to apne haath gul-e-tar bhī aa.egā
itnī bhī yaad ḳhuub nahīñ ahd-e-ishq kī
nazroñ meñ tark-e-ishq kā manzar bhī aa.egā
rūdād-e-ishq is liye ab tak na kī bayāñ
dil meñ jo dard hai vo zabāñ par bhī aa.egā
jis din kī muddatoñ se hai 'naushād' justujū
kyā jaane din hameñ vo mayassar bhī aa.egā
Top Urdushayar.com