Naushad Ali

na mandir mein sanam hote na masjid mein KHuda hota

Naushad Ali

Lucknow, Uttar pradesh, India

1919-2006
na mandir meñ sanam hote na masjid meñ ḳhudā hotā
hamīñ se ye tamāsha hai na ham hote to kyā hotā
na aisī manzileñ hotīñ na aisā rāsta hotā
sambhal kar ham zarā chalte to aalam zer-e-pā hotā
ghaTā chhātī bahār aatī tumhārā tazkira hotā
phir us ke ba.ad gul khilte ke zaḳhm-e-dil harā hotā
zamāne ko to bas mashq-e-sitam se lutf lenā hai
nishāne par na ham hote to koī dūsrā hotā
tire shān-e-karam kī laaj rakh lī ġham ke māroñ ne
na hotā ġham to is duniyā meñ har banda ḳhudā hotā
musībat ban ga.e haiñ ab to ye sāñsoñ ke do tinke
jalā thā jab to puurā āshiyāna jal gayā hotā
hameñ to Dūbnā hī thā ye hasrat rah ga.ī dil meñ
kināre aap hote aur safīna Dūbtā hotā
are-o jīte-jī dard-e-judā.ī dene vaale sun
tujhe ham sabr kar lete agar mar ke judā hotā
bulā kar tum ne mahfil meñ hameñ ġhairoñ se uThvāyā
hamīñ ḳhud uTh ga.e hote ishāra kar diyā hotā
tire ahbāb tujh se mil ke phir māyūs lauT aa.e
tujhe 'naushād' kaisī chup lagī kuchh to kahā hotā
Top Urdushayar.com