ḳhud miT ke mohabbat kī tasvīr banā.ī hai
ik sham.a jalā.ī hai ik sham.a bujhā.ī hai
āġhāz-e-shab-e-ġham hai kyuuñ sone lage taare
shāyad mirī āñkhoñ se kuchh niind churā.ī hai
maiñ ḳhud bhī tapish jis kī sahte hue Dartā huuñ
aksar mire naġhmoñ ne vo aag lagā.ī hai
jab yaad tum aate ho mahsūs ye hotā hai
shīshe meñ parī jaise koī utar aa.ī hai
har-chand samajhtā thā jhūTe haiñ tire vaade
lekin tire vādoñ ne kyā raah dikhā.ī hai
jo kuchh bhī samajh le ab marzī hai zamāne kī
shīshe kī kahānī hai patthar ne sunā.ī hai
maanā ki mohabbat hī buniyād hai hastī kī
'naushād' magar tujh ko ye raas kab aa.ī hai