Thokareñ khā.iye patthar bhī uThāte chaliye
aane vāloñ ke liye raah banāte chaliye
apnā jo farz hai vo farz nibhāte chaliye
ġham ho jis kā bhī use apnā banāte chaliye
kal to aa.egā magar aaj na aa.egā kabhī
ḳhvāb-e-ġhaflat meñ jo haiñ un ko jagāte chaliye
azm hai dil meñ to manzil bhī koī duur nahīñ
sāmne aa.e jo dīvār girāte chaliye
nafrateñ fāsle kuchh aur baḌhā detī haiñ
giit kuchh pyaar ke in rāhoñ meñ gaate chaliye
rāh-e-dushvār hai be-sāya shajar haiñ saare
dhuup hai sar pe qadam tez baḌhāte chaliye
kaam ye ahl-e-jahāñ kā hai suneñ yā na suneñ
apnā paiġhām zamāne ko sunāte chaliye
dil meñ so.e hue naġhmoñ ko jagānā hai agar
merī āvāz meñ āvāz milāte chaliye
rāste jitne haiñ sab jaate haiñ manzil kī taraf
shart-e-manzil hai magar jhūmte gaate chaliye
kuchh mile yā na mile apnī vafāoñ kā sila
dāman-e-rasm-e-vafā apnā baḌhāte chaliye
yuuñ hī shāyad dil-e-vīrāñ meñ bahār aa jaa.e
zaḳhm jitne mileñ siine pe sajāte chaliye
jab talak haath na aa jaa.e kisī kā dāman
dhajjiyāñ apne girebāñ kī uḌāte chaliye
shauq se likhiye fasānā magar ik shart ke saath
is fasāne se mirā naam miTāte chaliye
aaj ke daur meñ 'naushād' yahī behtar hai
is bure daur se dāman ko bachāte chaliye