mujh ko muaaf kījiye rind-e-ḳharāb jaan ke
āñkhoñ pe hoñT rakh diye jām-e-sharāb jaan ke
hashr meñ ai ḳhudā na le mujh se hisāb-e-ḳhair-o-shar
maiñ ne to sab bhulā diyā raat kā ḳhvāb jaan ke
vaqt ne az-rah-e-karam baḳhshā thā mujh ko tāj-e-zar
maiñ ne hī ḳhud jhaTak diyā sar kā azaab jaan ke
munsif-e-vaqt āḳhirash tujh ko bhī chup sī lag ga.ī
merā savāl pūchh ke un kā javāb jaan ke
aap ko gar na yaad ho apnī jafāoñ kā shumār
dekhiye mujh ko ġhaur se fard-e-hisāb jaan ke
apnī zabāñ se kis tarah qissa-e-ġham bayāñ karūñ
paḌhiye mirī nigāh ko dil kī kitāb jaan ke
ye to na kahiye vaqt-e-dīd sab thī ḳhatā nasīm kī
aap ne rū-e-nāz pe Daalī naqāb jaan ke