Naushad Ali

aag ek aur laga denge hamare aansu

Naushad Ali

Lucknow, Uttar pradesh, India

1919-2006
aag ik aur lagā deñge hamāre aañsū
nikle āñkhoñ se agar dil ke sahāre aañsū
hāsil-e-ḳhūn-e-jigar dil ke haiñ paare aañsū
be-bahā la.al-o-guhar haiñ ye hamāre aañsū
hai koī ab jo lagī dil kī bujhā.e merī
hijr meñ roke gañvā baiThā huuñ saare aañsū
us masīhā kī jo furqat meñ huuñ royā shab-bhar
ban ga.e charḳh-e-chahārum ke sitāre aañsū
ḳhūn-e-dil ḳhūn-e-jigar bah gayā paanī ho kar
kuchh na kaam aa.e mohabbat meñ hamāre aañsū
mujh ko sone na diyā ashk-fishānī ne mirī
raat bhar ginte rahe charḳh ke taare aañsū
vo sañvar kar kabhī aa.e jo tasavvur meñ mire
chashm-e-mushtāq ne sadqe meñ utāre aañsū
paas rusvā.ī ne chhoḌā na sukūñ kā dāman
girte girte ruke āñkhoñ ke kināre aañsū
lutf ab aayā mirī ashk-fishānī kā huzūr
pyārī āñkhoñ se kisī ke bahe pyāre aañsū
merī qismat meñ hai ronā mujhe ro lene do
tum na is tarah bahāo mire pyāre aañsū
māh-o-anjum pe na phir apne kabhī naaz kare
dekh le charḳh kisī din jo hamāre aañsū
yuuñ hī tūfāñ jo uThāte rahe kuchh din 'naushād'
aag duniyā meñ lagā deñge hamāre aañsū
Top Urdushayar.com