Naushad Ali

hae kaisi wo sham hoti hai

Naushad Ali

Lucknow, Uttar pradesh, India

1919-2006
haa.e kaisī vo shaam hotī hai
dāstāñ jab tamām hotī hai
ye to bāteñ haiñ sirf zāhid kī
kahīñ mai bhī harām hotī hai
shām-e-furqat kī uljhaneñ tauba
kis ġhazab kī ye shaam hotī hai
ishq meñ aur qarār kyā ma.anī
zindagī tak harām hotī hai
ho ke aatī hai jab udhar se sabā
kitnī nāzuk-ḳhirām hotī hai
ye tasadduq hai un kī zulfoñ kā
merī har sub.h shaam hotī hai
jab bhī hotī haiñ jannateñ taqsīm
huur zāhid ke naam hotī hai
lamhe aate haiñ vo bhī ulfat meñ
jab ḳhamoshī kalām hotī hai
piine vaalā ho gar to saaqī kī
har nazar daur-e-jām hotī hai
har adā ham adā-shanāsoñ kī
zindagī kā payām hotī hai
vaqt Thahrā huā sā hai 'naushād'
na sahar aur na shaam hotī hai
Top Urdushayar.com