Haidar Qureshi

jo bas mein hai wo kar jaana zaruri ho gaya hai

Haidar Qureshi

1953
jo bas meñ hai vo kar jaanā zarūrī ho gayā hai
tirī chāhat meñ mar jaanā zarūrī ho gayā hai
hameñ to ab kisī aglī mohabbat ke safar par
nahīñ jaanā thā par jaanā zarūrī ho gayā hai
sitārā jab mirā gardish se bāhar aa rahā hai
to phir dil kā Thahar jaanā zarūrī ho gayā hai
daraḳhtoñ par parinde lauT aanā chāhte haiñ
ḳhizāñ-rut kā guzar jaanā zarūrī ho gayā hai
añdherā is qadar gahrā gayā hai dil ke andar
koī sūraj ubhar jaanā zarūrī ho gayā hai
bahut mushkil huā andar ke rezoñ ko chhupānā
so ab apnā bikhar jaanā zarūrī ho gayā hai
tujhe maiñ apne har dukh se bachānā chāhtā huuñ
tire dil se utar jaanā zarūrī ho gayā hai
na.e zaḳhmoñ kā haq bantā hai ab is dil pe 'haidar'
purāne zaḳhm bhar jaanā zarūrī ho gayā hai
Top Urdushayar.com