pahle to Dar lagā mujhe ḳhud apnī chaap se
phir ro diyā maiñ mil ke gale apne aap se
dekhā hai haañ use hai vo kuchh miltā jultā sā
mutrib kī mīThī mīThī surīlī alaap se
thī baat hī kuchh aisī ki dīvāna ho gayā
dīvāna varna bantā hai kaun apne aap se
rahnā hai jab harīf hī ban kar tamām umr
kyā fā.eda hai yaar phir aise milāp se
aayā idhar ḳhayāl udhar mahv ho gayā
kahne ko thā na jaane abhī kyā maiñ apne aap se
ham aur lagā.eñ apne paḌosī ke ghar meñ aag
bhagvān hī bachā.e hameñ aise paap se
'naushād' raat kaisī thī vo mahfil-e-tarab
lagtī thī dil pe choT sī table kī thaap se