uljhe to sab nasheb-o-farāz-e-hayāt meñ
ham the ki un kī zulfoñ ke ḳham dekhte rahe
jab ghar jalā thā merā vo manzar ajiib thā
dekhā nahīñ jo tum ne vo ham dekhte rahe
vo sāhib-e-qalam na vo ab sāhibān-e-saif
kyā ho ga.e haiñ saif o qalam dekhte rahe
ham tishna-kām jām-e-tahī le ke haath meñ
saaqī kā mai-kade meñ bharam dekhte rahe
pahuñche sanam-kade meñ to hairat na kam huī
kitne badal ga.e haiñ sanam dekhte rahe
bas dekhte hī dekhte 'naushād' kyā kaheñ
sūraj ġhurūb ho gayā ham dekhte rahe