Naushad Ali

abhi saz-e-dil mein tarane bahut hain

Naushad Ali

Lucknow, Uttar pradesh, India

1919-2006
abhī sāz-e-dil meñ tarāne bahut haiñ
abhī zindagī ke bahāne bahut haiñ
ye duniyā haqīqat kī qaa.il nahīñ hai
fasāne sunāo fasāne bahut haiñ
tire dar ke bāhar bhī duniyā paḌī hai
kahīñ jā raheñge Thikāne bahut haiñ
mirā ik nasheman jalā bhī to kyā hai
chaman meñ abhī āshiyāne bahut haiñ
na.e giit paidā hue haiñ unhīñ se
jo pur-soz naġhme purāne bahut haiñ
dar-e-ġhair par bhiik māñgo na fan kī
jab apne hī ghar meñ ḳhazāne bahut haiñ
haiñ din bad-mazāqī ke 'naushād' lekin
abhī tere fan ke divāne bahut haiñ
Top Urdushayar.com