Haidar Qureshi

fasl-e-gham ki jab nau-KHezi ho jati hai

Haidar Qureshi

1953
fasl-e-ġham kī jab nau-ḳhezī ho jaatī hai
dard kī maujoñ meñ bhī tezī ho jaatī hai
paanī meñ bhī chāñd sitāre ug aate haiñ
aañkh se dil tak vo zarḳhezī ho jaatī hai
andar ke jañgal se aa jaatī haiñ yādeñ
aur fazā meñ sandal-bezī ho jaatī hai
ḳhushiyāñ ġham meñ bilkul ghul-mil sī jaatī haiñ
aur nashāt meñ ġham-añgezī ho jaatī hai
shīrīñ se lahje meñ bhar jaatī hai talḳhī
hīla-jūī jab parvezī ho jaatī hai
be-had power jis ko bhī mil jaa.e us kī
tarz yazīdī yā chañgezī ho jaatī hai
ġhazloñ meñ vaise to sach kahtā huuñ lekin
kuchh na kuchh to rañg-āmezī ho jaatī hai
husn tumhārā to hai sach aur ḳhair sarāpā
ham se hī bas shar-añgezī ho jaatī hai
zāhir kā parda ha.Tne vaalī manzil par
sālik se bhī bad-parhezī ho jaatī hai
'rūmī' ko 'haidar' jab bhī paḌhne lagtā huuñ
bātin kī duniyā tabrezī ho jaatī hai
Top Urdushayar.com