dhaḌakte saañs lete rukte chalte maiñ ne dekhā hai
koī to hai jise apne meñ palte maiñ ne dekhā hai
tumhāre ḳhuun se merī ragoñ meñ ḳhvāb raushan hai
tumhārī ādatoñ meñ ḳhud ko Dhalte maiñ ne dekhā hai
na jaane kaun hai jo ḳhvāb meñ āvāz detā hai
ḳhud apne-āp ko nīñdoñ meñ chalte maiñ ne dekhā hai
merī ḳhāmoshiyoñ meñ tairtī haiñ terī āvāzeñ
tire siine meñ apnā dil machalte maiñ ne dekhā hai
badal jā.egā sab kuchh bādaloñ se dhuup chaTḳhegī
bujhī āñkhoñ meñ koī ḳhvāb jalte maiñ ne dekhā hai
mujhe mālūm hai un kī duā.eñ saath chaltī haiñ
safar kī mushkiloñ ko haath malte maiñ ne dekhā hai