jhilmilāte hue din-rāt hamāre le kar
kaun aayā hai hathelī pe sitāre le kar
ham use āñkhoñ kī dehrī nahīñ chaḌhne dete
niiñd aatī na agar ḳhvāb tumhāre le kar
raat laa.ī hai sitāroñ se sajī qindīleñ
sar-nigūñ din hai dhanak vaale nazāre le kar
ek ummīd baḌī duur talak jaatī hai
terī āvāz ke ḳhāmosh ishāre le kar
raat shabnam se bhigo detī hai chehrā chehrā
din chalā aatā hai āñkhoñ meñ sharāre le kar
ek din us ne mujhe paak nazar se chūmā
umr-bhar chalnā paḌā mujh ko sahāre le kar