tū vafā kar ke bhuul jā mujh ko
ab zarā yuuñ bhī aazmā mujh ko
ye zamāna burā nahīñ hai magar
apnī nazroñ se dekhnā mujh ko
be-sadā kāġhazoñ meñ aag lagā
aaj kī raat gungunā mujh ko
tujh ko kis kis meñ DhūñDhtā āḳhir
tū bhī kis kis se māñgtā mujh ko
ab kisī aur kā pujārī hai
jis ne maanā thā devtā mujh ko