ye aur baat duur rahe manziloñ se ham
bach kar chale hamesha magar qāfiloñ se ham
hone ko phir shikār na.ī uljhanoñ se ham
milte haiñ roz apne ka.ī dostoñ se ham
barsoñ fareb khāte rahe dūsroñ se ham
apnī samajh meñ aa.e baḌī mushkiloñ se ham
manzil kī hai talab to hameñ saath le chalo
vāqif haiñ ḳhuub raah kī bārīkiyoñ se ham
jin ke paroñ se sub.h kī ḳhushbū ke rañg haiñ
bachpan udhār laa.e haiñ un titliyoñ se ham
ab to hamāre beach kabhī dūriyāñ bhī hoñ
tañg aa ga.e haiñ roz kī nazdīkiyoñ se ham
jab bhī kahā ki yaad hamārī kahāñ unheñ
pakḌe ga.e haiñ Thiik tabhī hichkiyoñ se ham