manzil pe dhyān ham ne zarā bhī agar diyā
ākāsh ne Dagar ko ujāloñ se bhar diyā
rukne kī bhuul haar kā kāran na ban sakī
chalne kī dhun ne raah ko āsān kar diyā
paanī ke bulbuloñ kā safar jānte hue
tohfe meñ dil na denā thā ham ne magar diyā
pīpal kī chhāñv bujh ga.ī tālāb saḌ ga.e
kis ne ye mere gaañv pe ehsān kar diyā
ghar khet gaa.e bail raqam ab kahāñ rahe
jo kuchh thā sab nikāl ke fasloñ meñ bhar diyā
manDī ne luuT liiñ javāñ-fasleñ kisān kī
qarze ne ḳhud-kushī kī taraf dhyān kar diyā