Alok Shrivastav

agar safar mein mere sath mera yar chale

Alok Shrivastav

Shajapur, Madhya Pradesh, India

1971
agar safar meñ mire saath merā yaar chale
tavāf kartā huā mausam-e-bahār chale
lagā ke vaqt ko Thokar jo ḳhāksār chale
yaqīñ ke qāfile hamrāh be-shumār chale
navāznā hai to phir is tarah navāz mujhe
ki mere ba.ad mirā zikr baar baar chale
ye jism kyā hai koī pairahan udhār kā hai
yahīñ sambhāl ke pahnā yahīñ utaar chale
ye jugnuoñ se bharā āsmāñ jahāñ tak hai
vahāñ talak tirī nazroñ kā eqtidār chale
yahī to ek tamannā hai is musāfir kī
jo tum nahīñ to safar meñ tumhārā pyaar chale
Top Urdushayar.com