har baar huā hai jo vahī to nahīñ hogā
Dar jis kā satātā hai abhī to nahīñ hogā
duniyā ko chalo parkheñ na.e dost banā.eñ
har shaḳhs zamāne meñ vahī to nahīñ hogā
vo shaḳhs baḌā hai to ġhalat ho nahīñ saktā
duniyā ko bharosa ye abhī to nahīñ hogā
hai us kā ishāra bhī samajhne kī zarūrat
hogā to kabhī hogā abhī to nahīñ hogā
do-chār gaḌe murde ukhāḌeñge kisī roz
har baar nayā jhagḌā kabhī to nahīñ hogā
kuchh aur bhī ho saktā hai taqrīr kā matlab
jo aap ne samjhā hai vahī to nahīñ hogā
har baar zamāne kā sitam hogā mujhī par
haañ maiñ hī badal jā.ūñ kabhī to nahīñ hogā