ye sochnā ġhalat hai ki tum par nazar nahīñ
masrūf ham bahut haiñ magar be-ḳhabar nahīñ
ab to ḳhud apne ḳhuun ne bhī saaf kah diyā
maiñ aap kā rahūñgā magar umr bhar nahīñ
aa hī ga.e haiñ ḳhvāb to phir jā.eñge kahāñ
ā.ankhoñ se aage un kī koī rahguzar nahīñ
kitnā ji.eñ kahāñ se ji.eñ aur kis liye
ye iḳhtiyār ham pe hai taqdīr par nahīñ
maazī kī raakh ulTīñ to chiñgāriyāñ milīñ
be-shak kisī ko chāho magar is qadar nahīñ