kisī bhī lafz kā jaadū asar nahīñ kartā
vo apne dil kī mujhe bhī ḳhabar nahīñ kartā
banā huā hai ba-zāhir vo be-ta.alluq bhī
jo mujh ko soche binā din basar nahīñ kartā
Thaharne bhī nahīñ detā hai apne dil meñ mujhe
mohabbateñ bhī mirī dil-ba-dar nahīñ kartā
laboñ meñ jis ke mohabbat kā ism-e-āzam hai
na-jāne pyaar ko vo kyoñ amar nahīñ kartā
nahīñ basātā jo aa kar bhī shahr-e-dil merā
yahāñ se jā ke bhī us ko khañDar nahīñ kartā
idhar kī mujh se chhupātā nahīñ hai baat koī
vo merī bāteñ kabhī bhī udhar nahīñ kartā
ajiib taur tarīqe haiñ us ke bhī 'haidar'
vo mujh se pyaar to kartā hai par nahīñ kartā