vahī āñgan vahī khiḌkī vahī dar yaad aatā hai
akelā jab bhī hotā huuñ mujhe ghar yaad aatā hai
mirī be-sāḳhta hichkī mujhe khul kar batātī hai
tire apnoñ ko gaañv meñ to akasr yaad aatā hai
jo apne paas hoñ un kī koī qīmat nahīñ hotī
hamāre bhaa.ī ko hī lo bichhaḌ kar yaad aatā hai
saphaltā ke safar meñ to kahāñ fursat ki kuchh socheñ
magar jab choT lagtī hai muqaddar yaad aatā hai
may aur june kī garmī badan se jab Tapaktī hai
november yaad aatā hai december yaad aatā hai