Alok Shrivastav

ye aur baat dur rahe manzilon se hum

Alok Shrivastav

Shajapur, Madhya Pradesh, India

1971
ye aur baat duur rahe manziloñ se ham
bach kar chale hamesha magar qāfiloñ se ham
hone ko phir shikār na.ī uljhanoñ se ham
milte haiñ roz apne ka.ī dostoñ se ham
barsoñ fareb khāte rahe dūsroñ se ham
apnī samajh meñ aa.e baḌī mushkiloñ se ham
manzil kī hai talab to hameñ saath le chalo
vāqif haiñ ḳhuub raah kī bārīkiyoñ se ham
jin ke paroñ pe sub.h kī ḳhushbū ke rañg haiñ
bachpan udhār laa.e haiñ un titliyoñ se ham
kuchh to hamāre beach kabhī dūriyāñ bhī hoñ
tañg aa ga.e haiñ roz kī nazdīkiyoñ se ham
guzreñ hamāre ghar kī kisī rahguzar se vo
parde haTā.eñ dekheñ unheñ khiḌkiyoñ se ham
jab bhī kahā ki yaad hamārī kahāñ unheñ
pakḌe ga.e haiñ Thiik tabhī hichkiyoñ se ham
Top Urdushayar.com