jab bhī taqdīr kā halkā sā ishāra hogā
āsmāñ par kahīñ merā bhī sitāra hogā
dushmanī niiñd se kar ke huuñ pashemānī meñ
kis tarah ab mire ḳhvāboñ kā guzāra hogā
muntazir jis ke liye ham haiñ ka.ī sadiyoñ se
jaane kis daur meñ vo shaḳhs hamārā hogā
maiñ ne palkoñ ko chamakte hue dekhā hai abhī
aaj āñkhoñ meñ koī ḳhvāb tumhārā hogā
dil parastār nahīñ apnā pujārī bhī nahīñ
devtā koī bhalā kaise hamārā hogā
tez-rau apne qadam ho ga.e patthar kaise
kaun hai kis ne mujhe aise pukārā hogā