Alok Shrivastav

hamesha zindagi ki har kami ko jite rahte hain

Alok Shrivastav

Shajapur, Madhya Pradesh, India

1971
hamesha zindagī kī har kamī ko jiite rahte haiñ
jise ham jī nahīñ paa.e usī ko jiite rahte haiñ
hamāre dukh kī bārish ko koī dāman nahīñ miltā
hamārī aañkh ke bādal namī ko jiite rahte haiñ
kisī ke saath haiñ rasmeñ kisī ke saath haiñ qasmeñ
kisī ke saath jiinā hai kisī ko jiite rahte haiñ
hameñ ma.alūm hai ik din bharosa TuuT jā.egā
magar phir bhī sarāboñ meñ nadī ko jiite rahte haiñ
hamāre saath chaltī hai tumhāre pyaar kī ḳhushbū
lagā.ī thī jo tum ne us lagī ko jiite rahte haiñ
chahakte ghar mahakte khet aur vo gaañv kī galiyāñ
jinheñ ham chhoḌ aa.e un sabhī ko jiite rahte hai
ḳhudā ke nām-levā ham bhī haiñ tum bhī ho aur vo bhī
magar afsos sab apnī ḳhudī ko jiite rahte haiñ
Top Urdushayar.com