diloñ meñ dushmanoñ ke is tarah Dar bol uThte haiñ
gavāhī ko chhupāte haiñ to manzar bol uThte haiñ
mirī sachchā.ī merī be-gunāhī sab pe zāhir hai
ki ab jañgal kueñ sahrā samundar bol uThte haiñ
vo patthar-dil sahī lekin hamārā bhī ye da.avā hai
hamāre lab jinheñ chhū leñ vo patthar bol uThte haiñ
badal jaate haiñ ik lamhe meñ hī tārīḳh ke dhāre
kabhī jo mauj meñ aa kar qalandar bol uThte haiñ
ye kyā jaadū hai vo jab bhī mire milne ko aatā hai
ḳhushī se ghar ke sab dīvār aur dar bol uThte haiñ
zabān-e-haq kisī ke jabr se bhī ruk nahīñ saktī
ki neze kī anī par bhī Tañge sar bol uThte haiñ
laboñ kī qaid se kyā farq aayā dil kī bātoñ meñ
ki saare lafz āñkhoñ se ubhar kar bol uThte haiñ
ajab ahl-e-sitam ahl-e-vafā meñ Than ga.ī 'haidar'
sitam karte haiñ vo aur ye mukarrar bol uThte haiñ