Sher Mohammad Khan Iman

mehrban pate nahin tere tain yak aan hum

Sher Mohammad Khan Iman

1806
mehrbāñ paate nahīñ tere ta.iiñ yak aan ham
phir bhalā dil ke nikāleñ kis tarah armān ham
har qadam par jis ke ejāz-e-masīhā.ī fidā
us adā us naaz us raftār ke qurbān ham
umr bhar saaqī na chhoḌī mai-kada kī bandagī
ek hī paimāne par karte haiñ ye paimān ham
koī to dāvat batā do is tarah kī shaiḳh jī
ek shab to apne ghar is ko rakheñ mehmān ham
haañ magar salvāt paḌhnā dekh tujh ko dam-ba-dam
aur kyā rakhte haiñ terī shaan ke shāyān ham
jī meñ ham barpā kareñ zanjīr kā ġhul ai junūñ
vādi-majnūñ ko dekheñ kis tarah sunsān ham
raat din sohbat hai jin ko be-takalluf aap se
pūchhnā kyā vo to behtar haiñ bhalā ai jaan ham
tū ne duz-dīda nigāheñ jab laḌā.īñ ġhair se
ho ga.e nā-chār pyāre jaan kar anjān ham
ham-nashīñ sarkār ke hī jā-ba-jā ġhammāz haiñ
kījiye tahqīq ise karte nahīñ bohtān ham
sair ko aatā hai vo 'īmān' jā kar baaġh meñ
khol deveñ chaar din aage hī gul ke kaan ham
Top Urdushayar.com