Sher Mohammad Khan Iman

qissa to zulf-e-yar ka tul o tawil hai

Sher Mohammad Khan Iman

1806
qissa to zulf-e-yār kā tuul o tavīl hai
kyūñkar adā ho umr kā rishta qalīl hai
gunjā.ish-e-do-shāh nahīñ ek mulk meñ
vahdāniyat ke haq kī yahī bas dalīl hai
mash.had pe dil ke dīda-e-giryāñ pukār de
pyāsā na jā ba-nām-e-shahīdāñ sabīl hai
nazreñ laḌāne meñ vo taġhāful hai ḳhush-numā
jis tarah se patañgoñ ke panjoñ meñ Dhiil hai
'īmān' kyā bayāñ karūñ us shahsavār kā
hāzir jilau ke biich jahāñ jibra.īl hai
Top Urdushayar.com