Shariq Kaifi

koi kuchh bhi kahta rahe sab KHamoshi se sun leta hai

Shariq Kaifi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1961
koī kuchh bhī kahtā rahe sab ḳhāmoshī se sun letā hai
us ne bhī ab gahrī gahrī sāñseñ lenā siikh liyā hai
pīchhe haTnā to chāhā thā par aise bhī nahīñ chāhā thā
apnī taraf baḌhne ke liye bhī us kī taraf chalnā paḌtā hai
jab tak ho aur jaise bhī ho duur raho us kī nazroñ se
itnā purānā hai ki ye rishta phir se nayā bhī ho saktā hai
jaise sab tūfān mirī sāñsoñ se bañdhe hoñ mujh meñ chhupe hoñ
dil meñ kisī Dar ke aate hī zor havā kā baḌh jaatā hai
maiñ to fasurda huuñ hī lekin ashk raqīb kī aañkh meñ bhī haiñ
ek mahāz pe haare haiñ ham ye rishta kyā kam rishta hai
rañg meñ haiñ saare ghar vaale khanak rahe haiñ chaa.e ke pyāle
duniyā jaag chukī hai lekin apnā saverā nahīñ huā hai
Top Urdushayar.com