kabhī ḳhud ko chhūkar nahīñ dekhtā huuñ
ḳhudā jaane bas vahm meñ mubtalā huuñ
kahāñ tak ye raftār qaa.em rahegī
kahīñ ab use roknā chāhtā huuñ
vo aa kar manā le to kyā haal hogā
ḳhafā ho ke jab itnā ḳhush ho rahā huuñ
faqat ye jatātā huuñ āvāz de kar
ki maiñ bhī use naam se jāntā huuñ
galī meñ sab achchhā hī kahte the mujh ko
mujhe kyā patā thā maiñ itnā burā huuñ
nahīñ ye safar vāpsī kā nahīñ hai
use DhūñDne apne ghar jā rahā huuñ