Shariq Kaifi

tarah tarah se mera dil baDhaya jata hai

Shariq Kaifi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1961
tarah tarah se mirā dil baḌhāyā jaatā hai
magar kahe se kahīñ muskurāyā jaatā hai
abhī maiñ soch rahā thā ki kuchh kahūñ tujh se
ki dekhtā huuñ tirā ghar sajāyā jaatā hai
gunāhgāroñ meñ baiThe to inkishāf huā
ḳhudā se ab bhī bahut ḳhauf khāyā jaatā hai
na.e na.e vo adākār jānte hī na the
ki parda girte hī sab bhuul jaayā jaatā hai
tavaqquāt kā yuuñ bhī ḳhayāl rakhtā huuñ
baḌe yaqīñ se mujhe āzmāyā jaatā hai
tamām umr milā.ī junūñ kī taal se taal
ye giit sab se kahāñ gungunāyā jaatā hai
ab is tarah kī mohabbat kabhī na ho shāyad
ki darmiyāñ meñ kahīñ jism aayā jaatā hai
samajh meñ aa.e na aa.e ye kuchh huā hai zarūr
yaqīñ jo tujh pe mirā Dagmagāyā jaatā hai
Top Urdushayar.com