Shariq Kaifi

ek din KHud ko apne pas biThaya humne

Shariq Kaifi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1961
ik din ḳhud ko apne paas biThāyā ham ne
pahle yaar banāyā phir samjhāyā ham ne
ḳhud bhī āḳhir-kār unhī va.adoñ se bahle
jin se saarī duniyā ko bahlāyā ham ne
bhiiḌ ne yūñhī rahbar maan liyā hai varna
apne alāva kis ko ghar pahuñchāyā ham ne
maut ne saarī raat hamārī nabz TaTolī
aisā marne kā māhaul banāyā ham ne
ghar se nikle chauk ga.e phir park meñ baiThe
tanhā.ī ko jagah jagah bikhrāyā ham ne
in lamhoñ meñ kis ki shirkat kaisī shirkat
use bulā kar apnā kaam baḌhāyā ham ne
duniyā ke kachche rañgoñ kā ronā royā
phir duniyā par apnā rañg jamāyā ham ne
jab 'shāriq' pahchān ga.e manzil kī haqīqat
phir raste ko raste bhar uljhāyā ham ne
Top Urdushayar.com