haiñ ab is fikr meñ Duube hue ham
use kaise lage rote hue ham
koī dekhe na dekhe sālhā-sāl
hifāzat se magar rakkhe hue ham
na jaane kaun sī duniyā meñ gum haiñ
kisī bīmār kī sunte hue ham
rahe jis kī masīhā.ī meñ ab tak
usī ke chārāgar hote hue ham
girāñ thī saa.e kī maujūdgī bhī
ab apne aap se sahme hue ham
kahāñ haiñ ḳhvāb meñ dekhe jazīre
nikal aa.e kidhar bahte hue ham
baḌhīñ nazdīkiyāñ is darja ḳhud se
ki ab us kā badal hote hue ham
rakheñ kyūñkar hisāb ek ek pal kā
balā se roz kam hote hue ham
bahut himmat kā hai ye kaam 'shāriq'
ki sharmāte nahīñ Darte hue ham