udaas haiñ sab patā nahīñ ghar meñ kyā huā hai
hamārā itnā ḳhayāl kyuuñ rakkhā jā rahā hai
kuchh itnā ḳhush-fahm ho gayā huuñ ki apnā chehra
parā.ī āñkhoñ se jab bhī dekhā burā lagā hai
abhī to achchhī lagegī kuchh din judā.ī kī rut
abhī hamāre liye ye sab kuchh nayā nayā hai
ḳhushī huī thī ki ab maiñ tanhā nahīñ huuñ lekin
ye shaḳhs to mere saath chaltā hī jā rahā hai
mujhe to is baat kī ḳhushī hai ki ab bhī mujh meñ
kisī pe bhī e'tibār karne kā hausla hai