duniyā shāyad bhuul rahī hai
chāhat kuchh ūñchā suntī hai
jab chādar sar se oḌhī hai
maut sirhāne par dekhī hai
itnā sachchā lagtā hai vo
dekho to hairat hotī hai
qurb kī saa.at to yāroñ ko
chup karne meñ guzar jaatī hai
aao gale mil kar ye dekheñ
ab ham meñ kitnī duurī hai
faisle auroñ ke kartā huuñ
apnī sazā kaTtī rahtī hai
yug biite duniyā meñ aa.e
soch vahī mehmānoñ sī hai
chalnā bhī ik aadat hai bas
saarī thakan āzādī kī hai