Shariq Kaifi

aaine ka sath pyara tha kabhi

Shariq Kaifi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1961
aa.ine kā saath pyārā thā kabhī
ek chehre par guzārā thā kabhī
aaj sab kahte haiñ jis ko nāḳhudā
ham ne us ko paar utārā thā kabhī
ye mire ghar kī fazā ko kiyā huā
kab yahāñ merā tumhārā thā kabhī
thā magar sab kuchh na thā dariyā ke paar
is kināre bhī kinārā thā kabhī
kaise TukḌoñ meñ use kar luuñ qubūl
jo mirā saare kā saarā thā kabhī
aaj kitne ġham haiñ rone ke liye
ik tire dukh kā sahārā thā kabhī
justujū itnī bhī be-ma.anī na thī
manziloñ ne bhī pukārā thā kabhī
ye na.e gumrāh kyā jāneñ mujhe
maiñ safar kā isti.āra thā kabhī
ishq ke qisse na chheḌo dosto
maiñ isī maidāñ meñ haarā thā kabhī
Top Urdushayar.com