yuuñ bhī sahrā se ham ko raġhbat hai
bas yahī be-gharoñ kī izzat hai
ab sañvarne kā vaqt us ko nahīñ
jab hameñ dekhne kī fursat hai
tujh se merī barābarī hī kyā
tujh ko inkār kī suhūlat hai
qahqaha māriye meñ kuchh bhī nahīñ
muskurāne meñ jitnī mehnat hai
sair-e-duniyā ko aa to jaao magar
vāpsī meñ baḌī musībat hai
ye jo ik shakl mil ga.ī hai mujhe
ye bhī ā.īne kī badaulat hai
ye tire shahr meñ khulā mujh par
muskurānā bhī ek aadat hai